Ek Din Achanak Part 42
Aaj College mein Fresher Day hai. Main aur mere dost bas tayyar ho rahe hain College jaane ke liye. Yun to hum college kabhi time se nahin jaate lekin Fresher Day par sabki ragging karne jaroor waqt se pehle pahunchna hota hai chahe dharti yahan se wahan kyun na ho jaye.
Gharwale bhi mujhe dekhkar hairan ho gaye ki Ravi aaj suraj kahan se ug gaya, Roz 10-11 baje uthne wala tu aaj 7 baje hi uth gaya.
To maine kahan mummy aaj ek dost ke saath bahar jaana hai (yun to keh nahin sakta tha ki College jaldi jaana hai class ke liye kyunki use sunke to unke hosh hi ud jaate). Unhone bhi koyi khaas dhyaan nahin diya aur mera naasta table par laga diya.
Naasta karke maine apne doston ko phone lagaya aur jaldi college pahuchne ke liye kaha aur apni Motorcycle par nikal pada college ke liye. College hamaara 9 baje shuru hota tha aur main 15 minutes pehle wahan pahunch chuka tha. Itne mein maine dekha ki mere dost Jay, Pawan aur Sanju teeno ek saath do motorcycle par aa rahe hain. Bas fir kya tha hum log tayyar ho gaye Freshers ki ragging ke liye.
Ragging to karne pahunch gaye lekin hamein ab bhi apne khaas do doston ka intezaar baaki tha. Khaas isliye kyunki wo dono ladkiyan thi. (Aap samajh hi gaye honge) Intezaar karte karte 9:15 ho gaye lekin wo nahin aayi. Idhar students bhi aane shuru ho gaye the kuch seniors hamaari tarah ragging karne ke liye aur kuch freshers apni ragging karwane ke liye. Maine kayi baar phone lagaya lekin unka phone nahin lag raha tha.
Mujhe bahut chinta hone lagi to maine Pawan ko bola yaar tu jaa kar dekh to dono kahan reh gayi. Chinta unke naa aane ki nahin thi balki hamaara ragging karne ka jo tareeka hai uske chaupat hone ki thi. To Pawan ne kaha theek hai wo chala jayega lekin use aaj shaam ko Riya ke saath Movie dekhne aur dinner karne ka saara kharcha tujhe uthana hoga. Marta kya na karta mujhe uski baat manni padi.
Lekin haye ri meri kismat mujh par kaise meharbaan ho gayi ki wo mujhe saamne se aati dikhai di. Maine dekha ki Pawan ka chehra unhen khaas kar ke Riya ko dekh kar khilne ki bajay Shaam kharab hone ke ehsas se murjha gaya hai. Mujhe uska chehra dekh kar hasi aa gayi aur maine kaha ki yaar kyun tension le raha hai. Dono aa gayi hai to kya hua Ravi ka waada khali nahin jayega. Pawan meri baat sunke bahut khus ho gaya aur mujhe gale se laga liya.
Wo dono akeli nahin aayi thi unke saath ek aur ladki bhi thi jise Ravi nahin dekh paya tha kyunki unke paas pahuchne ke dauran Ravi ko Cold Drinks and Some Snacks lene jaana pada (Kya hai saara kharcha Ravi ko hi uthana padta hai sabka) Lekin jab wapas aaya to hairan reh gaya ki unke saath ek behad khubsoorat ladki khadi hai.
Ravi ke pair wahi door rook gaye aur use dekhne lage. Pehle to Ravi ne socha ki koi fresher hai jise in logon ne milkar ragging ke liye pakad liya hai lekin jis tarah se wo ladki sab doston se baat kar rahi thi usse pata chalta tha ki wo kaafi acchi tarah se ek dusre ko jaanti hain.
Gora doodh jaisa rang, sangmarmar jaisa badan, kanchan, komal kaya, badi badi gehri kaali aankhen jisme doob jaane ko dil chahe, patli hirni jaisi lachakti kamar jisme naam matra ki bhi charbi nahin hai, kamar tak lambe kaale baal, surkh laal honth jaise gulab ki do pankhudiyan ho, kanon par latakti baliyan jo hawa se hil rahi thi aisi lag rahi thi jaise sawan ke mahine mein kunwari kanya jhule par madmast ho jhoolti ho, galon par laali jo aurat ke sharmo-haya ka prateek hai, chehre par atmavishwaas, safed rang ke salwar suit mein Ravi ke saamne khadi thi. Ravi ki to palak hi jhapakni band ho gayi thi. Uske roop ke saudarya mein khoya Ravi man hi man yun hi budbudane laga
Kisi ne dil ko is kadar chu liya
Ki hum kisi aur ko chu na sake
Hum to chale the aapko dost banane
Magar aap dhadkan bante chale gaye
Achanak Ravi ne dimaag ko jhatka diya aur sochne laga ki ye use kya ho gaya hai. Wo kyun aisa soch raha hai. Use in sab jhanjhaton mein nahin padhna. Chaar din ki jindagi hai use ladkiyon ke peeche waste nahin karna hai. Bas use ignore kar deta hoon saara maamla hi sulajh jayega. Waise bhi itni gori hai to jaroor foreigner hogi to iska to chance hi nahin. Bas aise hi dil mein khyaal liye Ravi baaki doston ke paas chal pada.
Wahan Pahunch kar usne baaki doston se us ladki ke bare mein poocha. Sanju to ladkiyon ke maamle mein waise hi expert tha to usne pehle se hi sab kuch details pooch lit hi uske bare mein. Ladki ke bolne se pehle hi wo bol pada Ravi ye Monika hai.
Kal hi England se aayi hai aur baaki ki padhai hamare college se poori karegi. Iske papa ka London mein bahut bada business par yahan ye apne bhai ke saath rehti hai. Ravi Sanju ki uske bare mein jaankaari sunkar chaunk gaya.
Usne kaha to iska matlab fresher hai. Lekin agar iske papa itne bade businessman hain to ye to kisi bhi bade college mein admission le sakti thi phir hamare college mein admission lene ki koi khaas wajah. Is par Monika ne kaha “Very Good Question. I m impressed. One of my hobby is wild photography and this college is very near to forest. That’s why I take admission here”
Ravi ne ye sunkar kaha “Wow! You are a wild photographer. Its amazing. Hope you didn’t scared by Indian tigers.” Ravi ke itna kehte hi sab jor se hasne lage. Phir Ravi ne kaha England mein padhi badhi ho to Indian values to tumhe pata nahin hongi. Halanki tumne salwar suit pehna hai lekin baatein English mein kar rahi ho.
Monika ye sunkar thodi si gussa ho gayi aur Ravi se kaha “England mein rehne ka ye matlab nahin hai ki main Indian values bhool gayi hoon. Badon ka adar, aurat ki sharmo haya, choton ko pyaar ye sab mujhe bachpan se sikhaya gaya hai. Lekin main tumhe kyun ye sab samjha rahi hoon”
Achanak Ravi ko Kuch Kuch Hota Hai film ka scene yaad aa jaata hai to usi style mein pooch baiththa hai “Achha agar itna hi pata hai to Gayatri Mantra sunao”
Achanak ek pal ke liye khamoshi cha jaati hai. Ravi aur uske dost Monika par hasne lagte hain. Ravi hanste huye kehta hai baatein badi badi aur kam bilkul nahin. Lekin itne mein uske kanon mein ek madhur si awaaz goonjti hai.
Om Bhur Bhuva Swaha Tat Savitur Vareniyam
Bhargo Devasya Dhimahi, Dhiyo Yonaha Prachodayat
Ek pal ke liye sannata cha jaata hai jo Riya ki taaliyon ki awaaz se tootta hai. Phir sabne milkar us ladki se aur dher saari baatein kari halki fulki ragging ke naam par usse kuch na kuch sunane ko kaha gaya. Ravi ne bhi kayi sawaal daag diye lekin Monika ne Ravi ko ignore karna hi theek samjha. Use Ravi ek bigda hua ladka sa lag raha tha. Kabhi kabhi majak karna bhi bhari pad sakta hai iska andaza agar pehle lag jaye to bewajah ke faltu majak ho hi na.
Iska baad sabne kuch aur bachon ki healthy ragging li aur canteen mein jaakar masti karne lage. Ravi aur Monika dono hi ek doosre ko ignore karne ki koshish kar rahe the lekin Ravi ki aankhen baar baar usi ka chehra dhoondh rahi thi.
Diya ye jaankar ki Ravi us ladki ko dhoondh raha hai jal kar rakh ho jaati hai aur Ravi se kehti hai ki tumhara dhyaan kahan hai. Jab se wo ladki aayi hai tum khoye khoye se ho. Ravi aise ghabra jaata hai jaise uski chori pakdi gayi ho lekin phir sambhal kar kehta hai “Diya tum bhi kaisi baatein kar rahi ho. Tum to jaanti hi ho ki main kabhi ladkiyon ke peeche nahin bhagta.
Mujhe isme koi interest nahin hai. Main to ye soch raha tha ki usne sabke saamne gayatri mantra kya gaa diya apne aap ko turram khan samajhne lag gayi hai. Mujhe ignore kar rahi thi. Meri insult ki. Use to main aisa sabak sikhaunga ki jindagi bhar yaad rahegi.
Diya ko laga ki accha mauka hai is Monika ko door bhagane ka kyunki use darr tha kahin Ravi uske husn ke jaal mein fans na jaaye aur wo Ravi ko kho na de. Dono aage ke liye plan banane lage ki kaise use sabak sikhaya jaaye.
Poora din aise hi gujar gaya lekin Ravi ya Diya dono mein se kisi ko kuch na sujha. Agle din subah Ravi ne newspaper lekar padhna shuru kiya (Padhna kya tha sirf ye dekhna tha ki kahan aur kaun si film lagi hai) aur beech beech mein kuch khabron mein sarsari taur par najar bhi dal deta tha. Tabhi uski najar ek khabar par padi aur uski bachen khil gayi.
To be continued....
Saba
13-Jan-2022 08:51 PM
Nice
Reply
Kareem
13-Jan-2022 08:26 PM
Niceee
Reply
Ayra S
23-Dec-2021 04:06 PM
Nice
Reply