कविताएँ
Kavitaayen chahe sainee ki ho ya priya ki,
Yaha baat hoti hai sirf jasbaato ki.
Tum bass shabdon par nahi matlab pe bhi dhyaan do,
Kahi na kahi kisi ke hotopar shayad aap ka bhi naam ho.
Kavita karna na hi mushkil hai na hi aasan,
Shayad aapke lafzzon se, bichade hue makasat ko bhi mil jaaye apna pyaara insaan.
Toh aap bhi sunao koi kavita
Jaise shabdon ko mera dil hai kharedta.
Sharafat hi unn shabdon se bhi jhalkegi,
Agar kavita apne dil se ki jayegi.
Bhavnao ko bhi tum lafzzon se mila do,
Khoklepan ko tum bass samandar me bahado.
Kavita ek aise aujar hai jo bheed mein bhi khud ko khudse milata hai,
Budhape mein bhi woh aap ko bachpan se judata hai.
Toh na hi aap badloge na hi ye zamana,
Toh andar ke awaaj ko kyu chate ho dafnana.
Mana aaj iska dhang thoda badalsa gaya hai,
Magar iska prabhav toh arsose bhi purana hai.
Utnihi takat se ye gum aur khushi ko pradarshit karti hai,
Apni aur ye har ek ko aakarshit karti hai.
Alag sache mein dhalne ka mauka ye aapko deti hai,
Andhe ko bhi ye ek naya nazarya deti hai.
Haste hue aap duniya ko apnaiye,
Apne aap ke liye ek kavita jaroor likhiye.
- Avanti Sachin Mujumale
Niraj Pandey
17-Nov-2021 10:48 PM
very nice
Reply