-05-Mar-2022
Maine chaha tha k zindon ki tarah zinda rahun
Kabhi nachun kabhi gaun kabhi tafreeh karun
Magar ye khwahish a derina kahan puri hui
Kabhi fursat na mili fikr a rozgar se hi
Mera bachpan na hansa aur na Jawani mahki
Ek shikan waqt ki mathe pe ubhar kr ai
Ab gham a rozgar aur mai hun
Maut ka intezar aur mai hun
Tamanna Jafri