Ravi Goyal

Add To collaction

Ek Din Achanak Part 3

Ek Din Achanak


Tabhi achanak Pawan ke kandhe par kisi ka haath pada aur jaise wo neend se jaaga aur hakikat ki duniya mein wapas aa gaya. Usne peeche mud kar dekha aur hairan reh gaya. Saamne Rider khada tha. Pawan ko to kato to khoon nahin wali haalat ho gayi thi. Darr se thar thar kaampne laga wo aur ektak Rider ke chere ki or dekhte jaa raha tha. Rider ne aage badhkar chaukidar se kaha ki iski tabiyat bahut kharan hai aur teacher ne usse kaha hai isko ghar tak chod jaye. Kahin aisa na ho ki ye raaste mein hi behosh ho jaye.

Class mein ise bahut chakkar aa rahe the.

 

Chaukidaar ne haami bharte huye use bhi Pawan ke saath bahar bhej

diya aur main gate band kar diya. Pawan ko samajh nahin aa raha tha ki kya kare. Idhar Kuan to udhar Khai. Class mein ja nahin sakta tha kyunki teacher se to bol ke aaya tha ki tabiyat bahut kharab hai aur use ghar jaana hai. Lekin ghar par kaise jaaye maama maami ko kya jawab dega. Haan unhe bhi yehi bata dega lekin pehle is Rider se to peecha chhute.

 

Rider uske saath thodi door tak chala aur jab dekha ki School se kuch door aa gaye hain to achanak Pawan ke saamne aa khada huya. Usne Pawan ki or dekhkar kaha Kyun be bahut uchal raha tha Ravi ke saamne. Ab wo nahin hai to saala muh chipata fir raha hai. Ab tujhee mujhse kaun bachayega. School tu jaa nahin sakta aur tujhe main tere ghar itni asaani se jaane nahin dunga. Samajhta kya hai apne aapko. Sab chalaki do minute mein utar doonga teri.

Exams mein bahut shaanpati dikha raha tha ki nahin batayega chahe main kuch bhi kar lun. Ab bata kya karun tere saath. Fir Rider Filmy Dialogue bolta hai ki bata be tujhe MAAR DIYA JAYE YAA CHOR DIYA JAYE. Pawan ki to bolti hi band ho gayi thi.

 

Pawan ne apni jindagi (Jo bhi usne ab tak bitayi hai) mein bhagwan se itni prathna nahin ki hogi jitni aaj din bhar mein kar li hogi. Lekin bhagwan bhi usi ki hi sunta hai jo apni madad khud karta hai. Rider ki aankhon mein gussa aur nafrat saaf dikhai de rahi thi to wahin Pawan ki aankhon mein Darr aur ghabrahat saaf chalak rahi thi.

Pawan ko kuch sujh nahin raha tha ki kya kare. Wo baar baar man mein yehi prathna kar raha tha ki hey bhagwan mujhe is Rider se bacha le. Ravi tum kahan ho dost pls jaldi aa jao. Dekho tumhare dost ko Rider kaise maarne ki dhamki de raha hai. Lekin Ravi wahan hota to aata na.

 

Rider ne aage badhkar Pawan ka gireban pakda aur bola bete tu to gaya. Jitni mauj karni thi tune wo kar li. Ab jindagi bhar tu mujhe yaad rakhega aur yehi sochta rahega ki maine Rider se panga kyun

liya. Aur ye kehte hi usne Pawan ko maarne ke liye haath upar utha liye. Lekin ...........

Aur ye kehte hi usne Pawan ko maarne ke liye haath upar utha liye. Lekin achanak use Pawan ki aur dekhte huye ruk jaana pada. Wo dekh kar hairan ho gaya ki jo ladka ab tak uske saamne darr ke maare dhang se khara nahin ho paa raha tha ab uske chehre par darr ka namonishan nahin tha. Kahan abhi thodi der pehle ek bheegi billi bana huya tha aur kahan ab seena tan kar khada hai.

 

Pawan ne use rukte huye dekhkar kaha "Maar, Maar na ab ruk kyun gaya. Nirdosh aur kamjor bandon par haath uthakar hi to tu apni bahaduri dikhata hai. Ravi ke saamne to saale tu chup kyun ho jaata hai. (Wo kya hai ek billi bhi jab charon taraf se ghir jaati hai to aakhir mein apni jaan bachane ke liye bhid hi jaati hai aur wohi haal Pawan ka bhi tha). Tum jaise log saare school ka mahol kharab karte hain. Bachon ko padhne nahin dete. Khud to padhte nahin bus saara din awaragardi karte firte hain. Phir aakar yahan dhauns jamane lagte hain. Tum logon ke dar wajah se har bacha tumhari baat maanne par majboor hai. Maine tumhari baat nahin maani to akela paakar ab tum mujhe maarna chahte ho. To maaro ruk kyun gaye. Main tumhare saamne akela khada hoon. Aao karlo apna badla poora mujhe maar kar.

 

Rider ektak Pawan ke chere ki taraf dekh raha tha. Aaj tak kisi ne uske saath aise baat nahin ki thi. Wo to sirf sab bachon ko dara kar hi apna kam nikalwa leta tha. Kuch uski chaplusi karte the aur jo nahin karte the unhe ye dara dhamka kar rakhta tha. Use bilkul bhi vishwas nahin tha ki use bhi kisi ke saamne is tarah chup ho jaana padega. Rider hairan tha usse kuch bhi bolte yaa karte nahin ban raha tha. Idhar apna Pawan bas bolta hi jaa raha tha. Naa jaane usmein itni himmat kahan se aa gayi thi. Shayad subah se bhagwan se jo prathna kar raha tha wo bhagwan ne sun li thi. Usme haalat ka saamna karne ki taakat aa gayi thi jo aane wale waqt mein uske

bahut kaam aane wali thi jo wo nahin jaanta tha.

 

Pawan bas bolta hi raha " Rider ab kyun nahin maar raha hai. Tu sirf apne chamcho ke bal hi khada hai. Akela to tu chuhe se bhi badtar hai. Jo tere saamne dar gaya use tum log aur dara kar jhukane ki koshish karte ho lekin jo nahin dara uske saamne aane ki tum logon ki himmat nahin hoti. Tum sab ek gunde ho aur kuch nahin. Us teacher ko tumne sare aam beijjat kar school se nikalwa diya. Use thappad maara, use gaali di, jhoote bahane banaye uske khilaf. Bas yehi tum log kar sakte ho. Aaj teacher par aisa ghinona ilzam lagaya hai kal aisa kaam bhi karoge.

 

Rider jo itni der se khamosh khada sab sun raha tha achanak jor se bol pada. Bas Pawan bahut bakwas kar li tune. Tujhe kya maloom wo teacher kitna ganda tha. Kitne hi masoom ladkon ko usne apni hawas ka shikar banaya tha. Us din saale teacher ki kismat kharab thi jo ek seedhe bache ki bajaye main usse takra gaya. Saala mujhe bolta tha aaj tujhe janaat ki sair karaunga jaise teri maa roz raat ko karti hai. Usne aur bhi itni gandi baatein ki jo main tujhe nahin bata sakta. Mera khoon ye sab sunkar khaul gaya aur use ghaseette huye bahar le kar aaya kamre se aur thappad lagaya. Jo sab logon ne dekha. Maine iska proof principal ko de diya tha aur wo teacher khud chod kar nahin gaya tha use school se nikal diya gaya tha.

Haan main thoda awara hoon. Padhai mein mera man nahin lagta. Bahut shararat karta hoon. Sabko tang karne mein mujhe mazaa aata hai lekin jo aarop tumne mujh par lagaye hain wo main sapne mein bhi nahin soch sakta.

 

Haan main tumse jalta tha ki kyunki tum mere dost nahi bane. Tum padhayi mein tej ho to maine socha ki tum meri madad kar diya karoge padhai mein lekin tum sirf Ravi ko hi apna dost samajhte ho. Uske siwa tumhe koi najar nahin aata. Theek hai wo tumhara achha dost hai lekin baaki kya dushman hain. Tum dono ne mujhe samajhne mein galti ki. Main padhai mein tej nahin hoon lekin

duffer bhi nahin hoon. Meri marksheet utha kar dekh lena kabhi bhi hamesha achhe numbers se paas huya hoon. Haan masti jyada karta hoon lekin iska matlab ye nahin ki main gunda hoon.

 

Pawan ek dum shocked ho gaya tha uski baatein sun kar. Use samajh nahin aa raha tha ki jo kuch bhi ho raha hai wo sach hai ya sapna. Jis Rider se class ke saare bache darte the wohi Rider aaj uske saamne ro raha tha. Pawan ne uske kandhe par haath rakha aur bola Rider yaar mujhe maaf kar de maine tujhe galat samjha. Rider ne kahan ki Pawan kaisi baat kar raha hai yaar maafi to mujhe maangni chahiye. Meri wajah se tu itna pareshan raha. Class mein padh nahin paaya. Saara din udaas raha.

 

Jab tune pet dard ka bahana banaya tha tabhi main samajh gaya tha ki tu meri wajah se aisa kar raha hai aur kal mere dar ki wajah se school nahin aaya tha na. Khair chod aaj se hum dono dost. Koi tujhe pareshan kare mujhe bata diyo saale ka jeena haram na kar dun to mera naam Rider nahin. Pawan ke bhi aankhon se aansoon nikalne shuru ho gaye uski baaton ko sunkar aur wo Rider ke gale se jaa laga. Dono thodi der tak roye aur phir Rider ne chup hote huye kaha ki Pawan Ravi mujhse nafrat karta hai kya wo meri dosti kabool karega. Pawan ne kaha tu iski chinta mat kar Ravi ko main mana lunga.

 

Iske baad dono ek restaurant mein chale gaye (Naa to School jaa sakte the aur na hi ghar) aur kuch kha pike dher saari baatein karte rahe. Time khatam hote hote apne apne ghar wapas aa gaye. Ghar jaakar Pawan ko pata chala ki Ravi aa gaya hai aur wo bhagta huya uske ghar par jaa pahuncha.

Ravi ke ghar pahuchte hi Pawan seedha uske room mein chala gaya aur Ravi ke gale se lag kar phoot phoot kar rone laga. Ravi bahut hairan ho gaya Pawan ko aisi halat mein dekhkar. Ravi bola kyun be kya ladkiyon ki tarah ro raha hai. Kya hua tujhe. Pawan kuch nahin

bola aur bas rota hi raha. Thodi der baad jab Pawan chup huya to bola Ravi yaar tum mujhe aise akele chod kar mat jaaya karo yaar. Tum nahin jaante tumhare jaane se main kitna akela ho jaata hoon.

 

Ravi ne kaha yaar jaana to main bhi nahin chahta tha lekin close relative ke yahan shaadi thi isliye majboori mein jaana pada. Lekin tujhe kya ho gaya kisi ne kuch kaha kya. Ghar mein kcuh baat ho gayi kya. Maama yaa maami mein se kisi ne maara kya. Pawan ne kahan Are nahin bhai aisi kuch baat nahin hai. Ghar par sab theek hai. Kisi ne kuch nahin kaha. Wo to bas school mein Rider ne...

 

Pawan ki poori baat sune bgaiar hi Ravi ka khoon khaul utha. Us saale ki itni himmat ki tujh par haath uthaya usne. Main jara sa bahar kya gaya usne socha ki Pawan ab akela ho gaya hai. Wo jaise chahe use dara dhamka sakta hai, maar sakta hai. Lekin wo yeh nahin jaanta ki agar usne Pawan ko haath bhi lagaya to Ravi uska kya haal karega. To bas ye bata ki usne tujh par haath to nahin uthaya na. Tujhe daraya yaa maara to nahin hai na.

 

Pawan ne kaha are nahin bhai aisa kuch nahin huya. Kya baat karte ho Pawan abhi tum hi keh rahe the ki school mein Rider ne tumhe maara. Pawan bolta hai yaar maine aisa kab kaha. Tumne to poori baat sune bagair apna gussa uspar utarna shuru kar diya. To saale tu hi bata de baat kya hai aur itna ro kyun raha tha tu. Phir Pawan ne Ravi ko sab bataya jo aaj uske saath huya tha.

 

Ravi ye sab sunkar hairan reh gaya. Wo bola yaar hum aaj tak Rider ko kitna galat samajhte the. Masti to sabhi karte hain lekin iska matlab ye to nahin ki wo koi gunda badmaash hai. Hum logon se bahut badi galti ho gayi hai. Uske ghar abhi chalte hain aur maafi maang kar aate hain. Aur uske baad dono Rider ke ghar ki taraf chal padte hain.

Lekin wahan jaakar unhen pata lagta hai ki Rider apne pita ke saath is sahar se bahar chala gaya hai aur shayad hi lautega. Uske Pita ka transfer urgent basis par doosre shahar mein kar diya tha aur wo koi aadhe ghante pehle hi yahan se jaa chuka tha. Ravi ye sunkar mayus ho jaata hai ki wo Rider se maafi nahin maang saka. Rider abhi bhi use dushman samajhta hoga. Aise bahut se khyaal Ravi ke dimag mein chal rahe the. Aur wo Pawan ke saath udaas man se apne ghar wapas aa gaya.

 

Lekin Kaun Kab Kahan kisse Kis Haal mein Kaise mil jaye ye kaun jaanta hai.

 

Dosti ke upar kuch lines yaad aa rahi hain shayad aap logon se suni ho

 

Hamari bhi thi ek Kahani 

Hamari bhi thi ek hasti purani 

Kandhe pe tha doston ka haath 

Saara jamana jeet lete aisa tha yaaron ka saath

 Saath baith kar karte the masti

Jab samosa tha 2 rupaye aur chai thi sasti 

Doston ke liye kiya bachpan kurbaan

Aaj saale ban baithe is dhadhkan ki jaan 

Choti se choti baaton ko dil se lagaya

Phir bhi kamino ne jaate jaate khoob hasaya 

Padhai ka to sirf bahana tha

College mein to doston se milne jaana tha 

Marne se pehle ek waada nibhana

Meri kabar par kehna

"Yaar uth kal movie dekhne time pe aana"

 

END OF EPISODE 1

   23
15 Comments

Kareem

13-Jan-2022 08:39 PM

Wow

Reply

Swati chourasia

12-Oct-2021 07:10 PM

Very nice 👌

Reply

Angela

11-Oct-2021 02:05 PM

Outstanding 👌

Reply