Ek Din Achanak Part 11
Sonali na is baat ko maan rahi thi ki wo bhi Jay se pyaar karne lagi hai aur na hi use dekhe bagair reh paa rahi thi. Har samay bas usi ka khyaal 24 ghante dimaag mein ghumta rehta tha. Kehte hai jab koi dil ke hathon majbur ho jaata hai to sab kaam, sab rishtey uske saamne bas feeke ho jaate hain. Sonali ka bhi kuch aisa hi haal tha. Na din ko chain milta, na raat ko neend aati. Shayad isi ko pyaar kehte hain. Wo ye baar baar sochti lekin fir apna sir jhatak ka rise maanne se inkaar kar deti. Sonali apne dil aur dimaag ke beech faisla nahin le pa rahi thi.
Lekin tabhi ek din kuch aisa hua ki sab kuch badal gaya. Us din School ka cricket match tha aur apne hi school mein doosre school ki team aakar match khel rahi thi. Sab bacche bhi us din match dekh rahe the to Jay ki ek jhalak pane ke liye Sonali bhi wahan maujud thi. Lekin Jay ne uski taraf nahin dekha ye dekhkar Sonali ki aankhen bhar aayi. Khair match shuru huya aur pehle apni team ne batting ki. Jay ki batting hi nahin aa payi usme. Iske baad bowling huyi aur Jay ko wahin lagaya gaya fielding ke liye jahan Sonali khadi thi.
Tabhi Batsman ne ek uncha shot lagaya jo Jay ki taraf aaya aur Jay ne daudkar us catch ko pakadne ki koshish kari. Catch pakadne ke chakkar mein use dive lagani padi. Khair catch to pakad liya lekin use bahut chot pahunchi aur baad mein use match adhura chodkar wapas jaana pada. Uske kohni se khoon nikal raha tha jo school staff ne marham-patti karke kaafi had tak band kar diya tha. Sonali ye dekhte hain apne hosh kho baithi aur daudti huyi wahan chali gayi jahan Jay rest kar raha tha. Wahan dusre staff bhi the jo Jay ki dekhbhal kar rahe the. Jab unhone Sonali ko dekha to use andar nahin aane diya lekin fir Jay ke kehne par un dono ko akela chod kar bahar chale gaye.
Sonali Jay to ektak lagatar dekhte jaa rahi thi aur roye jaa rahi thi. Wo aayi aur uske paas baith gayi.Uska dil dhadak raha tha ki wo kya baat kare Jay se. Lekin ab usse raha bhi nahin jaa raha tha.
Shayad use ehsaas ho gaya tha ki wo Jay ko bahut pyaar karti hai aur uske bagair jee nahin sakti. Kyunki jab Jay ko chot lagi to wo sirf Jay ko hi nahin Sonali ko bhi ghayal kar gayi thi. Fark sirf itna hai ki Jay ka shareer ghayal huya tha aur Sonali ka dil. Thodi der khamosh rehne ke baad Sonali ne kaha :Jay tumne aisa kyun kiya. Kya jarurat thi hero banne ki. Chot lag gayi na. Dekho kitna khoon nikal gaya. Tumhe jara bhi apni parwah nahin. Kyun kiya tumne aisa bolo”.
Jay use bas khamoshi se dekhta raha ki aaj Sonali ko kya ho gaya. Sonali ne aage kaha “Tum nahin jaante Jay ki tum mere liye kya mayne rakhte ho. I LOVE YOU.” Ye Sonali bol to gayi lekin baad mein khyaal aate hi sharmakar bhag gayi wahan se. Jay ki to khushi ka thikana hi nahin tha. Jo dil ab tak bechain tha Sonali ke liye wo aaj khushi se jhoom raha tha. Uska dil kar raha tha ki bas wo nache-gaye, khushiyan manaye lekin dard aur chot use aisa na karne ke liye majboor kar rahi thi. Tabhi ek staff ne aakar khabar di ki “Jay yaar tum kya chale gaye hamari fielding aur bowling kamjor pad gayi aur hum match haar gaye”. Lekin Jay man hi man mein keh raha tha ki “Match haar gaye lekin Sonali ko jeet liya”.
Match khatam huya aur Jawed Bhai Jay ke paas aaye aur poocha “Yaar ab tabiyat kaisi hai. Tu chala aaya to hum match haar gaye. Chod deta wo catch, kam se kam tu match mein to rehta. Hum jeet jaate. Khair jo hua so hua. Manish bata raha tha ki koi ladki aayi thi tujhse milne. Kaun thi wo. Kya chakkar hai yaar. Humein nahin batayega.”
Jay ye sunkar muskuraya aur kaha “Uska naam Sonali hai aur wo doosre section mein hai. Hum dono ek dusre ko pyaar karte hain. Mujhe chot lag gayi to dekhne chali aayi bas”.
“Accha to ye hai wo ladki hai jisne hamare dost ki raaton ki neend aur din ka chain chura liya hai. Tabhi main kahun janab ka training mein dil kyun nahin lagta hai. Baar baar koi na koi bahana bana kar practice se gayab ho jaate the. Ab samajh mein aaya ye sab usse milne ki chaal thi teri kyun”.
Jay sirf hans diya. Ab bolta bhi to kya bolta kyun ki yehi sach tha. Jawed Bhai ne aage kaha “Yaar humein bhi to usse mila, aakhir kaun hai wo ladki jisne hamare dost ka dil chura liya. Jay bola theek hai yaar kal hum park mein milne wale hain tum mere saath chalna tumhe wahi mila dunga usse. Jawed ne kaha theek hai aur kal to koi match bhi nahin hai. Kal pakka yaar recess mein milte hain.
Jay fir kuch aaram karke apne ghar jaldi chala gaya. Ghar par uski mummy uski halat dekh kar ghabra gayi aur poocha ki kya hua. Kisi se jhagda karke aaya hai kya ya kahin gir gaya tha. Ye chot kaise lagi. Fir Jay ne sab bataya ki kais eek catch pakadne ke chakkar mein use chot lag gayi. “Tujhse maine kitni dafa kaha hai ki ye sab khel chod de. Lekin meri suntan hi kab hai tu. Bas apni manmani mein laga rehta hain. Beta tere siwa hamara hai hi kaun. Ab agar tu hi aisi laparwahi karega to hamara kya hoga.
Ye sab kehte kehte jay ki mummy ki aankhen bhar aayi aur gala rundha gaya. Lekin fir bhi usne Jay ko kaha “Beta tu jaa aaram kar aur kal school se chutti le lena. Ghar par aaram karega to jaldi theek ho jayega.” Jay ye sunte hi chaunk gaya kyunki kal to use Sonali se milna hai. Aakhir pyaar ka ikrar hone ke baad ye unki pehli mulakat thi. Lekin agar kal school nahin gaya to kahin Sonali galat na samajh baithe. Lekin mummy ko kya bole, kaise manaye.
Jay ne kaha “Mummy kale k important class hai school mein kyunki papers paas aa rahe hain to jaana jaruri hai. Agar wo class miss ho gayi to numbers par affect padega. Jay ki mummy ab kya kehti.
“Theek hai beta kal chale jana lekin abhi to aaram kar. Koi dawai li hai abhi tak ya nahin. Mujhe pata hai tune nahiin li hogi. Itna laparwah jo hai. Main laakar deti hun. Mummy paas ke Medical shop par gayi aur dawai lekar wapas aayi. Fir Jay ko kuch khilaya aur uske thodi der baad wo dawai de kar uske kamre mein aaram karne ke liye bhej diya. Wahan jaa kar Jay apne bed par let gaya aur Sonali ke kahe ek ek shabd par gaur karne laga.
“Tum nahin jaante Jay ki tum mere liye kya mayne rakhte ho. I LOVE YOU.” Ye shabd abhi bhi Jay ke kaanon mein gunj rahe the. Wo baar baar apni kismet ko badai de raha tha ki us jaise ladke ko itni achhi ladki mili jo use behad pyaar karti thi. Kitni chinta thi Sonali ko uski. Kitna ro rahi thi wo mujhe is haal mein dekhkar.
Chot mujhe lagi thi aur dard Sonali mehsus kar rahi thi. Kya koi kisi ko itna pyaar kar sakta hai. Shayad pyaar ko samajhna itna aasan nahin jitna hum samajhte hain. Pyaar ki asli pareeksha aise samay mein hi hoti hai.
Lekin ab to kal ka intezar tha jab Sonali aur Jay ki mulakat hogi pehli. Ye mulakat pata nahin kya gul khilayegi
Agle din Subah subah Jawed Bhai aur Jay dono park mein pahunch gaye aur Sonali ka intezar karne lage. Kaafi der ho gayi intezar karte karte lekin wo nahin aayi milne aur seedha nikal gayi jise jaate huye dono nahin dekh paye. Jawed Bhai ne kaha “Yaar tu to keh raha tha ki wo tujhse pyaar karti hai aur aaj wo milne aayegi lekin wo to aayi nahin. Tujhe khoob bewkuf banaya hai usne”.
“Nahin nahin Jawed Bhai aap kaisi baat kar rahe hain. Sonali aisa kabhi nahin kar sakti. Wo nahin aayi to jaroor uski koi majboori rahi hogi. Shayad wo aaj aayi hi na ho aur kahi bimaar na ho. Yaa shayad wo kisi ke saath ho aur uske saamne mujhse milne nahin aana chahti.”
“Teri aankhon mein uske jhoote pyaar ka parda pada huya hai. Use khol aur sachhai ko sweekar kar. Wo tujhe koi pyaar vyaar nahin karti. Tujhe bas usne bewkuf banaya aur tu ban gaya.”
“Nahin nahin Jawed Bhai usne kal jab mujhe chot lagi thi to khud aakar I LOVE YOU bola tha aur aaj subah milne ka wada bhi kiya tha”.
“Are mere bhole bhai wo usne tujh par taras kha keh diya hoga ya shayad tujhe bewkuf banane mein use maja aa raha hoga. Tu use bhul ja aur padhai par dhyaan de”.
“Jawed Bhai aisi baatein mat karo. Mera dil baitha ja raha hai. Sonali aisa kabhi nahin kar sakti. Wo mere saath dhokha nahin kar sakti. Wo sach mein mujhse bahut pyaar karti hai”. Itna kehte kehte Jay ki aankhen nam ho gayi aur wo ruwansa sa ho gaya”.
“To wo aaj aayi kyun nahin tujhse milne. Agar wada kiya tha to nibhaya kyun nahin. Sach to ye hai ki wo aana hi nahin chahti tujhse milne. Aur aaye bhi kyun kya lagta hai tu uska. Bura mat manna tere jaise kitne ladke uske upar lattoo banke ghoom rahe honge. Aisi ladkiyan bas ladkon ko fasati hai aur time paas karke chod deti hain.”
Jay ab kya jawab de. Sonali sach mein nahin aayi aur wo intezar karte karte Jawed ke saath class mein aa gaya. Class mein uska man nahin lag raha tha. Baar baar bas wo yahi dua kar raha tha ki hey bhagwan Sonali aaj aayi hi na ho. Mujhe usne dhokha nahi diya mera dil kehta hai. Kal ka din uski aankhon ke saamne baar baar ghum raha tha jan Sonali ne use I LOVE YOU bola tha. Ye teen shabd ne use us samay kitni khushi di thi ye wohi jaanta hai. Lekin aaj ye teen shabd use chubte mehsus ho rahe the shayad shaq ki wajah se jo kahin kisi kone mein uske man mein ghar kar gaya tha.
Class mein baithna use bahut bhari lag raha tha. Reh reh kar use Sonali ka dhokha yaad aa raha tha. Lekin uska dil nahin maan raha tha ki wo aisa kar sakti hai. Lekin wo aayi kyun nahin. Kahan reh gayi wo. Kya sach mein uski tabiyat kharab ho gayi. Wo kahin fans gayi hogi isliye nahin aa saki. Is tarah se Jay apne dil ko behla raha tha. Kab char period khatam ho gaye aur recess ho gayi pata hi nahin chala. Sab bacche class se bahar chale gaye aur Jay bhi bhari man se class se bahar nikal aaya.
Bahar aaya aur usne dekha ki Sonali to bahar garden mein hai. Ye dekhkar wo chaunk gaya. Us samay uske dil par kya baati ye kaun jaan sakta hai. Jay ka to man kar raha tha ki wo kahin ja kar doob mare lekin insaan jo chahta hai wo sab kahan hota hai. Itne mein Sonali ne bhi Jay ko dekh liya aur use aawaz dekar garden mein aane ke liye kaha. Ek pal ke liye to Jay jhijhka ki ab ye kyun mujhe bulana chahti hai. Ab kya ye koi nayi chaal chal rahi hai. Ladkiyon ka kya bharosa. Unki to fitrat hi hai ladkon ke dil se khelne ki. Ek baar to dhokha de chuki hai. Ab main aisa nahin hone dunga. Lekin chal kar dekhun to aakhir ab kya naya bahana banati hai.
Ye sab sochkar Jay uske paas chala gaya. Sonali ne uske aate hi poocha ki kal tumhare saath mein wo jo ladka khara tha wo apni school ki cricket team ka captain tha na. Main ye sunkar chaunk gaya ki ise kaise pata kyunki ye to aayi hi nahin thi. Jay ne kaha “Haan wo Jawed Bhai hi the. Lekin tumhe kaise pata tum to aayi hi nahin thi.”
“Nahin main aayi thi lekin use wahan dekh kar main ghabra gayi aur fir meri wahan jaane ki himmat hi nahin huyi. Tum kyun use lekar aaye the. Kahin wo sab ko na bata de ye hi dar mujhe khaye jaa raha tha. Tumne use kuch bataya to nahin na hamare baare mein.”
Jay ye sab sunkar shocked tha. Use samajh mein nahin aa raha tha ki kya bole. Kitna galat samjha tha usne Sonali ko. Ye Jawed Bhai bhi na rai ka pahad bana dete hain. Unhone hi bol bol kar mere man mein Sonali ke liye shaq paida kar diya tha.
Sonali sahi thi. Maine hi use samajhne mein bhool ki. Fir Jay ne kaha “Sonali mujhe maaf kar do”.
“Maaf kyun aisa kya kar diya tumne”
“Maine tum par shaq kiya. Tum nahin aayi to mujhe laga ki tumne mujhe dhokha diya hai. Mere emotions ke saath khel rahi ho”.
“Tum ye soch bhi kaise sakte ho Jay. Wo to main dar gayi thi usko wahan dekh kar. Wo yahan kyun aaya tha. Kahin usko hamare baare mein pata to nahin lag gaya. Kahin wo kisi ko bata na de. Aisa sab main soch rahi thi aur mera dil ghabra raha tha isliye maine wahan aana theek nahin samjha.
“Sonali Jawed bahut acche hain. Unhe hamare baare mein sab pata hai. Wo to bas tumse milna chahte hain ki aakhir meri pasand kaisi hai.”
Ye sunkar Sonali Sharma gayi. Aur boli ki ab kya karenge to Jay ne kaha kya karenge kal fir mil lenge. Main mana lunga Jawed ko. Wo meri baat nahin talenge. Lekin kal tum time par aa jana akhin fir dar jayo aur meri ijjat ka kachra ho jaye
Are baba mein aa jaungi. Chalo ab chalte hain kyunki recess khatam ho gayi aur class mein bhi jaana hai. Kal paaka aaungi aur mil lungi.
“Lekin mujhe abhi bhi dar lag raha hai kahin koi ye baat na faila de. Mujhe apne papa se bahut dar lagta hai kyunki wo bahut gusse wale hain. Kahin unhe pata chal gaya to maar maar kar mera bura haal kar denge.”
“Are kisi ko pata nahin chalega. Jawed par mujhe poora yakeen hai. Itna shayad main khud par vishwaas nahin karta jitna un par karta hoon. Tum unki taraf se befikar raho”.
Itna kehkar Jay aur Sonali apni apni class mein chale gaye. Class mein pahunch kar Jay ne saari baatein Jawed Bhai ko sunai jise sunkar wo bhi chaunk gaye. Unhe bhi thoda dukh huya ki bagair asli baat jaane kisi par iljaam lagana theek nahin hai. Kai baar aankhon dekha bhi jhoot hota hai.
Jawed ne kaha “Yaar wo sahi keh rahi thi. Mujhe tere saath nahin jaana chahiye tha yaa pehle tujhe usko mere baare mein bata dena chahiye tha. Khair jo hua so hua ab to tune bata diya hai mere baare mein yaa ab bhi wo kahin dar kar aaye hi nahin. Waise koi mujhe darta bhi hai iska mujhe aaj hi pata chala.
Jay ne kaha “Nahin Jawed Bhai maine use aapke baare mein bata diya hai aur ye bhi keh diya hai ki kal aap mere saath hi honge. Isliye aap saath jaroor chalenge.
Dono tayyar the kal ki mulakat ke liye. Dekhte hain kal ki mulakat kya gul khilati hai.
To be continued....
Kareem
13-Jan-2022 08:36 PM
Nice
Reply
Swati chourasia
12-Oct-2021 07:15 PM
Very nice 👌
Reply
Aliya khan
02-Oct-2021 12:32 AM
Nice
Reply