Lekhny post -27-May-2022
_*SAFAR E HAJJ #05*_
*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ*
_Hajj Ke Faraiz_
1⃣ Ehraam ki yeh shart hai.
2⃣ Wuqoofe Arfa yaani navvi (9th) zill hijjah ke aaftaab dhalne (yahan aftaab dhalne se muraad zawal ka waqt hai)se dasvi (10th) ki subah sadiq se pehle tak kisi waqt arafat mein theherna.
3⃣ Tawaafe ziyarat ka aksar hissa yaani chaar phere pichli dono cheezein yaani Wuqoof wa tawaaf rukn hai.
4⃣ Niyyat.
5⃣ Tarteeb yaani pehle ehraam baandhna phir wuqoof phir tawaaf.
6⃣ Har farz ka apne waqt par hona yaani wuqoof uss waqt hona jo zikr huwa uske baad tawaaf iska Wuqoof ke baad se aakhir umr (age) tak hai.
7⃣ Makaan yaani wuqoof zameen e arafat mein hona siwa batane urna ke (batane urna maidane arafat mein ya uske kareeb ek jagah hai usko chordh kar arafat mein jahañ chahe thehre) aur tawaaf ka makaan Masjid e Haram Shareef hai.
*#Durre Mukhtar*
*#Raddul Mohtar*
_*Yaa Razavi Peer Group*_
🟣https://instagram.com/yaa_ra
Amir
28-May-2022 05:12 PM
nice
Reply
Shnaya
28-May-2022 01:39 PM
V nice
Reply
Reyaan
28-May-2022 08:31 AM
👏👌
Reply