Ek Din Achanak Part 19
Do din kaise gujar gaye pata hi nahin chala. Sonali jay ko bhulti jaa rahi thi aur Sameer ki taraf khinchti ja rahi thi. Roz Sameer ka phone aata aur dono ghanton ghap-shap, hansi-majak, chuhalbaazi aur pyaar bhari baatein karte the. Sameer ne to ek mobile hi courier kar ke de diya tha. Sonali mobile ko paakar itni khush ho gayi thi jaise saari duniya uske kadmo mein ho.
Jay ki halat sachmuch majnu jaisi ho gayi thi. Tarah tarah se apne dil ko santavna de raha tha. Kya kare, kya na kare kuch samajh mein nahin aa raha tha. Kitaabein kholta to usmein bhi Sonali hi nazar aa rahi thi use. Khair jaise taise usne do din gujare aur kisi tarah exams ki tayyari ki.
Exams wale din Jay as usual school samay se pehle pahunch gaya tha is aasha mein ki Sonali bhi jaldi aayegi usse milne. Lekin Jay ko nirasha hi haath lagi kyunki ek to Sonali late aayi aur aayi bhi to apne papa ke saath. Aate hi Sonali seedhe class mein chali gayi aur seat par jaakar baith gayi. Jay ne awaaz bhi di Sonali ko lekin usne ansuna kar diya.
Jay ab bhi yahi soch raha tha ki shayad Sonali ne use dekha nahin hoga. Lekin maine to awaaz bhi di. Haan wo door jo khadi thi isliye sun nahin payi hogi. Late to ho hi gayi hai wo isliye jaldbazi mein dhyaan nahin diya hoga usne. Pyaar mein aksar aap ka sathi, kitna bhi galat kyun na ho, hamesha sahi hi nazar aata hai. Jay ko pata hi
nahin tha ki jiske peeche wo paagal ho raha hai wo ab use bhoolne lagi hai.
Jay bhi class mein aakar apni seat par baith gaya. Is baar uski seat Sonali ke bagal wali row mein lekin do bachhon ke peeche thi. Is baar bhi uski kismat ne saath nahin diya aur wo Sonali se aankhen milakar baat nahin kar paya. Usne soch hi liya tha ki bhale hi paper kyun na choot jaye wo Sonali se jaroor baat karega aaj.
Kisi tarah usne paper likhna shuru kiya. Kareeb dhai ghante ke baad Sonali uthi aur ek najar Jay ki taraf dekha. Dono ki najrein takrayi lekin Sonali ne aise muh fer liya jaise wo koi ajnabi ho. Jay ko uska yen andaaz andar tak ghayal kar gaya. Paper mein abhi bhi kayi question baaki the solve karne ke liye aur wo Jay ko aate bhi the lekin jab usne dekha Sonali paper deke jaa rahi hai to usne bhi apna adhura paper aise hi submit kara diya aur lagbhag daudte huye bahar ki taraf bhaga.
Bahar aakar usne charo taraf dekha lekin Sonali use kahin dikhai nahin di. Uski haalat ka yeh alam tha ki jaise kisi ne uske shareer se uski aatma ko nikal diya ho. Wo paaglon ki tarah yahan se wahan use dhoondh raha tha. Kabhi main gate se bahar jaata to kabhi park mein dekhta ki kahin hamesha ki tarah Sonali uska park mein intezar kar rahi ho.
Tabhi uski najar bathroom se nikalti Sonali par padi aur wo uski taraf daud pada.
Sonali ne Jay ko apni taraf daudhte huye aate dekha to uske dil ki dhadhkane tej ho gayi. Use samajh nahin aa raha tha ki kya kare. Kya jawab de Jay ko. Kaise uske sawalon ka saamna kare. Ab tak kaisa na kaise karke wo Jay ka saamna karne se bachti aa rahi thi lekin ab. Ab kya kare wo. Use kabhi na kabhi to Jay ka saamna
karna hi tha to wo khud ko is baat ke liye tayyar karne lagi.
Jay uske paas pahuncha aur hamfte hanfte uski taraf ek aasha se dekha ki Sonali use apne seene se laga legi. Lekin wo to ye dekhkar hairan tha ki gale lagana to door wo to aise react kar rahi hai jaise Jay koi ajnabi ho. Uska dil dhak se reh gaya. Use kuch bhi samajh mein nahin aa raha tha ki Sonali uske saath aisa kyun kar rahi hai. Aisa usne kaun sa gunah kar diya. Kis baat ki saja use Sonali de rahi hai. Lekin in sab sawalon ke jawab use Sonali se hi mil sakte the to usne usi se poochne ki sochi.
Dono Khamoshi se ek doosre ke saamne khade rahe kafi der tak. Jahan Jay Sonali ki aankhon mein dekhne ki koshish kar raha tha wahin Sonali usse najrein churane mein lagi thi. Jab dono mein se koi kaafi der tak nahin bola to Jay se aakhir raha nahin gaya aur
usne baat ki shuruat ki. Jay ne poocha “Sonali, tum kaisi ho” Sonali
achanak jaise neend se jaagi aur boli “Main theek hoon”. Jay ne bola “Mere bare mein nahin poochogi” “Are haan main to bhul hi gayi thi, tum kaise ho”.
“Tum sirf ye poochna nahin, bahut kuch bhool gayi ho. Tum to ye bhi bhool gayi ho ki hamara rishta kya hai. Hum ek doosre ko pyaar karte hain. Pata nahin kitne haseen pal humne ek doosre ki baahon mein gujare hain”. “Tum to ye bhi bhool gayi ho ki hum ek doosre ke bina nahi ji sakte the. Kyun main sach keh raha hun Sonali.
Batao kyun kiya tumne aisa mere saath”
Sonali ki aankhon mein aansu aa gaye. Usne kaha “Nahin Jay please aisa mat kaho. Tum nahin jaante mein kis musibat mein fansi ho.” (Sach hai agar insaan kahin fans jaata hai to jhoot bolne se bhi nahin hichakta aur ladkiya to is kala mein parangat hain hi) Jay ab seedha sadha sa ladka tha. Beh gaya Sonali ke aansu dekhkar
aur bola “Kyun aisa kya ho gaya. Mujhe batao pls. Tumhein meri
kasam”
Iske baad Sonali ne Raj ki kahani se lekar uski shaadi fix hone tak ki saari kahani Jay ko bata di. Usne ye bhi kaha ki “Jay tum mujhe bhool jao. Ab main kisi aur ki amanat ban chuki hoon. Tumhara mere upar koi haq nahin hai ab. Waise bhi paper khatam hone ke turant baad meri shaadi ho jayegi isliye aur kisi baat ya tareeke ki koi gunjaish hi nahin hai. Isse behtar yahi hai ki tum mujhe bhool
jao. Main seh loongi kisi tarah.” Jay ka dil ek jhatke mein chaknachoor ho gaya. (Waise is par ek gaana yaad aa raha hai Dil ke armaan aansuon mein beh gaye)
Jay kya bolta khamoshi se Sonali ko dekhta raha aur Sonali wahan se use bye karke nikal gayi. Sonali badi khus thi ki Jay ab uske raaste mein nahin aayega aur ab koi pareshani nahin aayegi. Jo pareshani Jay ke roop mein thi wo usne khatam kar di hai. Ab use Sameer se shaadi karke nayi duniya basani hai. Aisa sochte sochte Sonali Sameer ki yaadon mein kho gayi.
To be continued....
Kareem
13-Jan-2022 08:34 PM
Nice
Reply
Swati chourasia
12-Oct-2021 07:26 PM
Very nice 👌
Reply
Shalini Sharma
30-Sep-2021 07:11 PM
Nice
Reply