Ravi Goyal

Add To collaction

Ek Din Achanak Part 29

Sanju ne apni kahani khatam ki aur Ravi aur Pawan se kaha “Bas aise hi ho gayi dosti. Canteen mein aaya tha to ye mil gayi aur aise hi baatein karne lad gaye the hum dono”



Pawan ne poocha “To wo ladki kaun thi jo us din tumhare saath thi”



Sanju ne kaha “Yaar wo to ek number ki chipku hai. Main use jyada bhaav nahin deta. Isi college mein padhti hai”



Iske baad charon canteen mein baith kar thodi idhar udhar ki baatein karte rahe aur iske baad sab class mein aa gaye.



Aise hi sab doston mein masti, ched-chad, hansi-majak chalta raha kafi samay tak. Sanju in sab ka kaafi achha dost ban gaya tha. Aur uska bhai to tha hi college mein aane wali sab pareshaniyon se nibatne ke liye. Lekin in sab ke dauran Ravi ne ek khaas baat notice ki ek fix time pe Sanju koi na koi bahana banakar college se nikal jata tha aur lagbhag ek ghante baad wapas aata tha.



Ravi ne kai baar usse puchne ki sochi lekin har baar Sanju koi na koi bahana bana hi deta tha. Lekin ek din sab dost Riya ki birthday party mein shaamil the to us beech bhi jab Sanju jaane laga to Ravi ko thoda shak huya. 



Usne Sanju ka peecha karne ki sochi aur Pawan aur Jay ko abhi aaya bolkar Sanju ke peeche peeche chala gaya to dekha Sanju college se thodi door par bane huye ek park mein ek ped ke paas baitha hai aur us ped se pata nahin kya kya baatein kar raha hai. Ravi ne use disturb karna theek nahin samjha aur wapas chala gaya.



Wapas aakar wo as it is party mein shaamil ho gaya jaisa kuch hua hi nahin. Doston ne poocha ki kahan gaya tha to bol diya ki thoda bahar gaya tha taazi hawa khane. Doston ne bhi jyada nahin poocha aur sab naachne gaane mein mast ho gaye. 




Thodi der mein Sanju aaya to Ravi ne usse poocha ki kahan gaya tha to usne jhoot bol diya ki papa ka phone aaya tha aur ek jaroori kaam ke liye jaana pada. Ravi ne use akele mein le jaakar puchne ki sochi aur usko bahar le gaya.



Sanju aur Ravi dono bahar aakar sadak par tahalne lage. Baaton baton mein Ravi ne dubara poocha to Sanju chaunk utha. Usne kaha nahin yaar aise hi kisi kaam se gaya tha. Tu kyun baar baar pooch raha hai. Ravi ne usse poocha ki park mein kaun sa jaroori kaam bata diya tha uncle ne. 



Sanju ye sunkar chaunk pada. Wo samajh gaya ki Ravi ne use wahan dekh liya hai. Lekin wo khamosh raha. Uski aankhon mein nami aa gayi jise dekhkar Ravi hairan reh gaya. Jis insaan ke chehre par hamesha hansi khilkhilati rehti thi aaj wahin gham ke badal chaye se lag rahe the. Jahan khushiyon ki barsaat hoti thi wahan dukh dard ki lakeer si cha gayi thi.


 
Sanju ne thandi saans lekar kaha ki yaar mat pooch. Main nahin bata paunga. Badi mushkil se un halaton se nikla hun main. Lekin Ravi kahan maanne wala tha. Usne bhi jaanne ki than li aur Sanju se jid karne laga. Sanju ne aakhir thak haar kar use batane ki soch li. 



Isme uska fayda bhi tha ki jo dard wo apne seene mein kaafi samay se chupaye huye tha jise usne apne sage bhai se bhi share nahin kiya tha, jo nashwar ki tarah use chub raha tha, jo andar hi andar use khaye ja raha tha, usi dard ko Ravi se baatne par ho sakta tha ki use kuch rahat mile.



Lekin tabhi doston ki awaaz aayi kyunki cake kaatne ka time aa gaya tha to Sanju ne kaha yaar Ravi chal chalte hain. Fir kabhi bataunga tujhe. Ravi kya bolta man markar wo bhi saath mein chal diya.



Do din aise hi nikal gaye lekin Ravi ko mauka nahin mila janne ke liye. Usne kayi baar mauka talashne ki koshish ki lekin har baar jab bhi Sanju park mein jaata to Ravi ya to kisi kaam mein busy hota ya kahin gaya huya hota tha. Ab ye aadmi ki natural tendency hai ki jis cheez ko use mana kara jaye use hi jaanne ki jigyasa sabse jyada jor maarti hai man mein. 




Wohi haal Ravi ka tha. Use kisi bhi tarah ye raaz jaanna hi tha ki aisa kya hai ki Sanju pedo se baat karta hai. Kya wo pagal hai ya iske peeche koi kahani chipi huyi hai. Idhar Sanju bhi aisa mauka dekh kar hi jaata tha park mein taaki Ravi ko wahan na le ja sake aur uska raaz, raaz hi rahe. Lekin wohi baat jo main pehle bhi kai baar bol chuka hoon ki insaan jo chahe agar wo sab hone lag jaye to bhagwan na ban jaye.




Teesre din sham ko jaise hi Sanju jaane laga to us din Ravi free tha to wo Sanju ke paas pahunch gaya aur bola ki chal aaj main bhi park mein chalta hoon tere saath. Sanju ne use bahut mana kiya,tarah tarah ke bahane banaye lekin apni dhun ka pakka Ravi usne uski ek na suni. Sanju marta kya na karta chal diya park ki taraf aur as usual Ravi bhi uske saath ho liya. Sanju ne kai baar mana kiya lekin Ravi to apni jid ka pakka tha. 



Sanju ne thak harkar use saath le liya aur dono bike par baith kar park mein usi ped ke neeche pahunch gaye. Wahan pahunch kar Sanju ne us ped ko paani diya aur wahin us ped ke neeche baith kar usse haal-chaal poochne laga jise Ravi samajhne ki koshish kar raha tha lekin uski samajh se bahar tha. Wo baar baar kabhi Sanju ki taraf to kabhi us ped ki taraf dekh raha tha.



 Ravi ko is tarah confused dekh kar Sanju hans pada aur bola “Tum mujhe shayad pagal samajh rahe hoge ki main pedon se baatein karta hoon. Log ke paas is duniya mein jinda aadmi se baat karne ka time nahin hai aur main kahan ped-podhon ke chakkar mein pada hoon.”



 “Nahin aisi to koi baat nahin hai. Ped-podhon mein bhi jaan hoti hai.



 
Wo bhi ek achhe sathi ban sakte hain insaan ke.”




 “Tum theek keh rahe ho lekin tum nahin jaante dost ye ped mere liye kya hai. Ye sirf ek ped hi nahin hai mere jeewan ki sabse haseen yaadon ka gawah hai. Mera dost hai, hamdard hai”. Itna kehte kehte Sanju ki aankhen nam ho gayi aur wo jaise kinhi purani yaadon mein kho gaya. Ravi ke pukarne par usne batana shuru kiya.



To be continued....

   26
18 Comments

Saba

13-Jan-2022 08:45 PM

Wow

Reply

Kareem

13-Jan-2022 08:30 PM

💖💖

Reply

Ayra S

23-Dec-2021 04:25 PM

Great

Reply