Ek Din Achanak Part 30
“Main aur Sanjana dono ek dusre ko bahut pyaar karte the. Halanki use manane ke liye mujhe kafi papad belne pade, uske ghar ke kitne hi chakkar lage, ladkon se ladai jhagde bhi huye, ghar, school mein pata nahin kitni baar pitai padi lekin aakhir ek din main uska pyaar pane mein safal ho hi gaya. Hum aksar isi park mein aakar baitha karte the aur ghanton ek doosre ki aankhon mein dekhte huye, ek doosre ki baahon mein samay bitaya karte the.
Humne apne haathon se ek chota sa paudha bhi yahan lagaya. Roz yahan jab bhi aate to apni pani ki bootle se pani us paudhe ko jaroor dalte. Hamara pyaar aisa tha jaise do jism ek jaan. Ek pal ko bhi doosre se bichad kar nahin reh sakte the.”
“Lekin pata nahin hamare pyaar ko kiski najar lag gayi” Aur itna kehkar Sanju ka dil bhar aaya aur uski aankhon se aansuon ki dhara behne lagi. Ravi ka dil bhi paseej gaya ki Sanju jo bahar se har dum mast rehta hai, khilkhilata rehta hai, apne seene mein kitna dard chupaye huye hai. Use dekhkar koi nahin keh sakta ki use koi gham bhi hai.
Jab Sanju shaant huya to usne aage bataya “Us din mera janamdin tha aur wo mere liye gift lene gayi thi. Us din wo bahut khus thi aur mere liye ek shirt lene gayi thi market mein. Wahan kisi gunde ne uske saath chedkani ki aur usne use kaskar sabke saamne thappad maar diya.”
“Are wah ye to usne bahut achha kiya” Ravi turant bol pada. Aise gundon ko to beech chaurahe par laakar peetna chahiye.
“Tum theek keh rahe ho lekin yahi to shayad sabse badi galti ho gayi thi usse. Khair wo gift lekar aa gayi thi aur usne mujhe bataya lekin main pagal tha jo sab theek ho gaya, usne thappad maar diya aur baat aayi gayi ho gayi, aisa sochkar shaant baith gaya. Mujhe usi samay us gunde ko sabak sikhana chahiye tha.
Agle din mere paas khabar aayi ki meri Sanjana hospital mein jindagi aur maut se jhoojh rahi hai. Mere to pairon se jaise jameen hi nikal gayi thi. Main sab kaam chodkar wahan bhaga bhaga pahuncha. Uske parents se main kai baar mil chuka tha to mujhe dekhte hi bole ki beta tum andar jao. Sanjana baar baar tumhe yaad kar rahi hai. Itna kehte kehte unki aankhen nam ho gayi jise dekhkar mujhe kisi anhoni ki aashanka hone lagi”
“Main andar gaya aur wo meri taraf dekh kar muskura di lekin uski muskurahat use hone wale dard ko chupa nahin saki. Main uske paas baith gaya to usne mujhse bola ki tum aaj park mein nahin gaye us paudhe ko pani dene. Maine kaha mein tumhare bina kabhi gaya hoon.
Dono saath saath chalenge. Itna sunkar wo muskura di aur boli ab shayad mein kabhi tumhare saath na ja sakun tumhe akele hi us paudhe ko bada karna hoga jo hamare pyaar ki nishani hai. Mera aks tumhe dikhega usme. Maine kaha tum kya behki behki baatein kar rahi ho. Aur ye halat kaise ho gayi tumhari”
“Usne bataya ki jis ladke ko kal usne thappad mara tha aaj usne apne ek dost ke saath use gher liya tha. Wo dono milkar use jabardasti apni gaadi mein bithana chahte the lekin wo isme safal nahin ho paye. Jab maine chillana shuru kiya to ek ne apne haathon se mera muh daba diya. Maine bhi ek laat uski dono taangon ke beech maari to usne dard aur gusse ke mare mujhe chalte traffic ke beech dhakka de diya.
Wahan ek bus chali aa rahi. Usne mujhe bachane ki bahut koshish ki lekin main bus ki chapet mein aa hi gayi aur meri ye halat ho gayi. Wo dono ladke turant wahan se bhag gaye the aur mujhe wahan se PCR ki van hospital mein le aayi thi. Shayad kisi ne police ko phone kar diya tha”
“Wo ladka kaun tha Sanjana. Ye poochte huye Sanju ka khoon khaul raha tha aur uski aankhon se lag raha tha ki agar ise pata chal gaya to ye jaroor koi anarth kar dega. Sanjana ne kaha ki use nahin pata. Usne to us ladke ko kabhi dekha hi nahin. Aur tumhe meri kasam agar tum aaj ke baad ye baat bhi apni dimaag mein lekar aaye. Bhul jao sab sirf mujhe aur hamare pyaar ko yaad rakho. Main tumse bahut pyaar karti hoon aur tumhe hamesha khus dekhna chahti hoon.
Wada karo kabhi royoge nahi mujhe yaad karke. Hamare pyaar ki nishani ke paas din ke ek samay jaroor milne jaoge. Main tumhare paas laut kar jaroor aaungi. Dekhti hoon ki tum mujhe pehchaan paate ho ya nahin. Ab kis ladki ke roop mein aa jaun ye pata nahin. Sab kaam tumhe karna hai. Hamesha yun hi hanste rehna hai aur khilkhilate rehna hai.”
“Achanak Sanjana ki awaaz bolte bolte ruk gayi aur wo tej tej saansein lene lag gayi. Khair ruk ruk kar to pehle bhi bol rahi thi lekin is samay to uski halat bolne ki bhi nahin thi. Usne mera haath apne haathon mein kaskar pakad liya jaise mujhse wada chahti ho. Main uski baat kaise taal sakta tha. Maine apni jaan se pyaar jo bahut karta tha. Waada kar diya. Shayad wo mere ikraar ke intezar mein hi ruki huyi thi. Jaise hi maine wada kiya wo hamesha ke liye mujhse door chali gayi.”
“Mere haath se uska haath neeche jameen par latak gaya jise maine dubara apne haathon mein lene ki koshish ki to dekha ki ek bracelet jis par R akshar likha huya tha uske haath mein fansa huya tha. Main samajh gaya ki ye bracelet jaroor us ladke ka hoga jisne isko dhakka diya kyunki ye ek gents bracelet tha.
Main bracelet ko jeb mein dala aur uska haath apne haath mein lekar pagal sa ho gaya. Mujhe hosh to tab aaya jab uske parents ne mujhe jhakjhor kar hataya wahan se.”
“Wahan se nikalkar main bhagta huya us paudhe ke paas pahunch gaya aur uske gale se lag kar bahut der tak rota raha. Iske baad main rojana apne wade ke mutabik us paudhe ke paas jaata aur use paani deta. Mujhe apni jaan ki jhalak usme dikhayi deti thi. Main ghanton uske paas baith kar usse baat kiya karta tha jaise apni Sanjana se baat kar raha hoon.”
Ravi ki aankhon se aansu beh rahe the Sanju ki kahani sun kar aur usne poocha “Yaar iska matlab ye ped wo paudha hi hai kyunki tum isse baat kar rahe the”
Sanju ne kaha “Haan ye wohi paudha hai jo ab hamare pyaar ke badhne ke saath saath ek vishal vriksh ka roop le chuka hai. Jis tarah usse bichadne ke baad bhi mera pyaar kabhi kam nahin huya usi tarah ye ped bhi kabhi nahin murjhaya”
Ravi ne aage poocha “To us bracelet se us ladke ka kuch pata chala ki wo kaun tha aur kahan rehta hai”
Sanju ki aankhen ek pal ke liye angaare jaisi huyi lekin turant hi wo normal ho gaya aur bola “Yaar yehi to pata nahin chal paya hai ab tak. Pehle to maine socha tha ki shayad uske ghar mein se kisi ka hoga to main wahan bhi sabse poocha lekin kisi ka nahin nikla. Jahan uska accident karaya gaya tha wahan jaakar bhi maine kaafi pata kiya lekin kuch pata nahin chala.”
“Aur bas ab to sirf ye ped jo hamare pyaar ka pratik hai mera sab kuch hai. Aaj bhi use har ladki mein dekhta hoon ki kab wok is roop mein mere saamne aa jaye lekin aaj tak wo nahin aayi.
Itna kehkar Sanju jo ab tak kisi tarah se apne upar control kar raha tha aur sab kahani Ravi ko bata raha tha aage bol nahin paya aur uski aankhon se bhi ashru-dhara behne lagi. Pata nahin kitni der wo baitha rota raha. Jab shaant huya to Ravi ne aur Sanjana ke baare mein baat karni shuru ki jaise ki kaise pyaar huya, kahan kahan gaye ghumne etc. taaki Sanju ka udas dil thodi khushi prapt kar sake.
Sanju bhi ab normal ho gaya tha aur usne shuru mein milne se lekar, ladne-jhagadne, pyaar ka ikraar hone, meethi nok-jhonk hone aadi ke baare mein batana shuru kar diya. Beech mein kai waqye aise bhi the jisme dono thahaka lagakar hans bhi rahe the. Jo mahaul do min pehle ghamgin tha ab wo hansi ke fawwaron se bheega huya tha.
Isi tarah samay beetta gaya aur saare dost aise hi ek dusre ke saath hansi majak karte huye samay bitane lage. Sanju aaj bhi Sanjana se kiya huya wada nibha raha tha. Aaj bhi use Sanjana ki talash thi ki wo kab aur kis roop mein uske saamne aa jaye.
Udasi se to jaise Sanju ne nata hi tod liya tha, halanki bahut mushkil tha ye uske liye lekin kya kare wada jo kiya tha apni Sanjana se ki halaat chahe jaise bhi ho wo muskurata rahega. Lekin in sab se beech use aaj bhi us bracelet ke maalik ki talash thi. Usne sab doston ko bhi wo bracelet dikha kar pooch liya tha lekin kisi ko iske baare mein kuch pata nahin tha.
End of Episode 4
Saba
13-Jan-2022 08:45 PM
Wow
Reply
Kareem
13-Jan-2022 08:30 PM
💖💖
Reply
Ayra S
23-Dec-2021 04:10 PM
💙nice
Reply