Ek Din Achanak Part 31
Episode 5
Dheere dheere aise hi din beetne lage. Ab to Pawan ka Riya ke ghar aana jaana bhi shuru ho gaya tha. Pawan jab bhi jaata to baataon baaton mein Ravi ka jikar ho hi jaaya karta tha kisi na kisi kaaran se. Ab jab Riya ke ghar jaata tha to wahan jaahir si baat hai uski behan se bhi milta hoga.
Riya ki behan ke bhi 12th ke exam ho gaye the aur wo achhe numbers se pass bhi ho gayi thi. Umar ke hisaab se to wo Riya se choti thi lekin agar maturity ki baat ki jaye to Riya par 21 hi thi uski choti behan. Isliye ghar wale bhi uski baat nahin taalte the kyunki unhen pata tha ki uski laadli beti kabhi koi galat baat nahin karti.
Kai baar aisa huya jab Riya ki behan paas baithi ho aur Ravi ki tareefon ke pul bandh rahe hote the. Wo soch mein padh jaati thi ki aakhir ek ladke hi ladke mein itne saare gun kaise ho sakte hain.
Kya Ravi koi aflatoon hai jo sab kar sakta hai. Kahin wo bewkuf to nahin bana raha inhen. Lekin Pawan ke kehne ke mutabik to wo Ravi ko bachpan se jaanta hai to ye khyaal Riya ki behan ne dimaag se nikal diya. Lekin Ravi se milne ki ichha wo apne dilo-dimaag se nahin nikal pa rahi thi.
Aise hi ek baar Pawan koi jacket pehan kar aaya to Riya aur uski behan us jacket ko dekh kar bahut khus huyi. Unhone kaha ki jacket bahut sunder hai. I sjacket ka colour, design, stitches, cloth sab ek dum badhiya hai. Pawan par bahut suit kar rahi thi aur Pawan kaafi handsome lag raha tha us jacket mein. Dono ne Pawan aur uski jacket ki tareef kya ki Pawan turant bol utha ki ye Jacket to Ravi ki hai. Usne mujhe gift ki hai.
Riya par to koi farak nahin pada lekin uski behan ye sunkar chaunk gayi kyunki jacket kaafi mehangi lagti thi aur aisi jacket asaani se market mein nahin milti thi. Riya ki behan ke poochne par Pawan ne bataya ki aaj hi Ravi ise kharidkar laaya tha aur mujhe dikhayi. Ab jaise tum log iski tareef kar rahe ho waise hi maine bhi ki thi.
Bas fir kya tha. Usne turant ye jacket mujhe gift kar di ye kehte huye ki mere dost ko jo cheez pasand aayi hai us par mera koi adhikaar nahin. Mere laakh mana karne ke bavjood usne mujhe jabardasti ye jacket pehna di. Bas aisa hi dildaar hai mera dost. Har koi itna khuskismat nahin hota ki use Ravi jaisa dost mile.
Riya ki behan hairani se saari baatein sun rahi thi. Uski curiousty badhti ja rahi thi Ravi se milne ki. Lekin Ravi kabhi bhi Pawan ke saath nahin aata tha kyunki ek to Jay aur phir Sanju ki story sunne ke baad uska man nahin karta tha in pyaar vyaar ke chakkar mein padne aur kisi bhi roop mein isse judne ka. Isliye Riya ki behan ki kabhi mulakat nahin ho payi thi Ravi se. Lekin ab jab college mein
admission ka time ho gaya tha to Riya ki behan ne do karnon se isi college mein admission lene ki ichha jatayi.
• Sabse pehla to ye ki wo apni behan se bahut pyaar karti thi. Dono ek doosre ke bina nahin reh sakti thi. Halanki Riya badi thi lekin dono behne aise rehti thi ki jaise hum-umar ho. Kabhi kisi se koi baat nahin chupani. Seedhe taur par kahen to behan kam friend jyada thi.
• Ravi se milne ki iccha bhi poori ho jayegi aur us group se jismein ye sab jude hain kyunki Ravi ki baton ke saath saath group ki bhi baatein aksar hoti rehti thi.
Riya ki behan ne ye baat apne parents ko batayi ki wo bhi isi college mein admission lena chahti hai. Parents ne bhi koi apatti nahin jatayi balki wo to khus ho gaye ki dono behne ab saath saath college jayengi aur Riya ko bhi akelapan mehsoos nahin hoga.
Doosra Riya ki behan mind se sharp aur matured jyada thi Riya ke mukable to Riya ko koi dikkat nahin hogi college mein agar uski behan uske saath rahegi to.
Agle din Riya ne ye khuskhabri Pawan ko sunayi to Pawan bahut khus ho gaya. Aakhir khus kyun nahin hota uski saali jo college mein aa rahi thi padhne. Usne sab doston ko bhi batayi ye baat to sab bahut khus huye kyunki dino-din unka group badhta ja raha tha. Lekin Ravi ne koi khaas dhyaan nahin diya kyunki wo to ab ladkiyon ne door rehne laga tha. Riya se baat kar leta tha lekin ek limit tak. Use koi interest nahin tha ladkiyon se baat karne mein. Halanki wo bhi khus tha sab ko khus dekhkar kyunki dosti hi to uski jindagi ka atoot hissa tha.
Bas isi tarah din katte gaye aur college mein first cut-off list lag gayi jisme pehli hi list mein Riya ki behan ka number aa gaya tha. Uske father ne uska bhi college mein admission kara diya aur dono behne
college ke fresher day ka intezaar karne lagi ki kab college start ho aur kab Riya ki behan college mein pehla kadam rakhe. Riya ne sab doston ko sakht hidayat de rakhi thi ki koi uski behan ki ragging nahin karega aur na hi kisi ko karne dega. Sab agree bhi ho gaye is baat ke liye.
Sab dost bhi apne apne exams clear karke 2nd year mein aa gaye the jismein Jay ka bahut bada yogdaan tha. Yogdaan aisa tha ki Jay ne sabki help ki thi exams ke dino mein (Cheating mein nahin important notes banane mein) Jaise jaise din najdeek aa rahe the sab doston mein man mein khushiyan hilore maar rahi thi kyunki unhen is baar ragging karne ka avsar milne wala tha.
Pichle saal sabne Mukesh ke haathon apni ragging karwayi thi lekin is baar unki baari thi ki wo sab freshers ki ragging karen. Sabse jyada excited to Ravi tha. Usne kai plan banaye the ki aise ragging karega, waise ragging karega lekin honi ko kuch aur hi manjoor tha.
To be continued....
Saba
13-Jan-2022 08:45 PM
Wow
Reply
Kareem
13-Jan-2022 08:30 PM
Nice
Reply
Ayra S
23-Dec-2021 04:10 PM
💙👍👍
Reply