Ravi Goyal

Add To collaction

Ek Din Achanak Part 47

Sabka muh hairat se khula ka khula reh gaya. Jay, Jawed aur Manish sab se jyada the kyunki unhone hi to use dekha tha baaki sab ne to kewal uske bare mein suna tha. Manish ne kaha “Yaar majak mat karo. Jassi Sorry Saloni aayi hai to use bula lo. Nahin to aise majak mat karo pls”

 

“Are main majak nahin kar rahi hoon. Yahi Saloni urf Jassi hai.”

 

“Lekin ye, ye to” kehte kehte Jawed beech mein ruk gaya.

 

“Haan Jawed Ji ye sab aap hi ke kaaran hua hai.”

 

“Mere kaaran. Main kuch samjha nahin. Main to us din ke baad isse mila bhi nahin”

 

“Wohi to. Us din aapne ise ignore kar diya tha kyunki ye dekhne mein achhi nahin thi. Isne chasma laga rakha tha yaa iske daanton mein taar pade the isliye” 


 

Jawed ka chehra sharam se jhuka huya tha. Sach hi hai insaan ki asli sundarta to uske man se hoti hai. Bahari sundarta to chanik bhar hai lekin aantarik sundarta sthayi hai. Use koi chura nahin sakta aur wohi sundarta use sundar aur achha insaan banati hai.

 

“Us din se isne kasam kha li thi ki aapke saamne tabhi aayegi jab ye apne aap ko poori tarah se badal legi taaki aap ko ye achhi lage”

 

“Mujhe achhi lage par kyun”

 

“Kyunki ye aapse pyaar jo karti hai.”




Halanki dono ko akele milne dene se pehle fatafat cake katkar karyawahi kar di gayi aur turant in dono ko akela chod diya gaya. Cake baad mein bhi kat jaata lekin sabko pata tha ab dono kaafi der tak baat karte rahenge. Ladkiyon ko apne ghar jaana tha aur baaki doston ko bhi to college jaana tha. Lekin Sab betaab bhi the ki Jawed aur Saloni mein kya baat hogi. Kya Saloni ka pyaar Jawed ko manjoor hoga. 

 

Sab tarah tarah ke anumaan laga rahe the. Kisi ne socha Jawed kyun nahin manega, aakhir Saloni padhi likhi, behad khubsyurat aur apne pairon par khadi hai. Koi soch raha tha ki bhale hi Saloni ab khubsoorat ho gayi hai lekin Jawed lalchi logon mein se nahin hai ki ladki sundar dikhi to fisal gaye. Shayad wo inkaar kar de Saloni ko. Koi soch raha tha ki Saloni Jawed ko aakhir mana hi legi. Sab apni apni soch mein doobe huye the aur intezar kar rahe the ki kab dono bahar aaye aur faisla sunayen.

 

Idhar kamre mein Jawed ko kuch bhi samajh mein nahin aa raha tha ki kya baat kare. Kaafi der tak dono mein se koi kuch nahin bola. Jawed ko to sabse jyada tajjub is baat se tha ki ab jab Jassi sorry Saloni ke paas rupaya, paisa, ijjat, career aur sabse badi baat bala ki khubsurti hai to wo kyun us jaise mamuli insaan ke bare mein soch rahi hai jisne use kabhi theek se dekha tak nahin.

 

Lekin kehte hain na pyaar andha hota hai. Ye oonch neech, jaat-paat, chota bada kisi dharm ko nahin manta. Bas jahan do dil mil jaye wahin premiyon ke liye jannat ban jaati hai.



Ye sunta hai sirf apne dil ki awaaz
Karta hai to sirf aankhon se fariyaad
Hai use apne mehboob se bepanah mohabbat
Iske liye chahe ho jaye barbaad
 

Jawed ne hi aakhir uski kuch bolkar is chuppi ko todna chaha. “Tum mujhse pyaar karti ho. Lekin kabse. Jahan tak mujhe yaad hai ki hum sirf ek do baar hi mile hain ab tak aur wo bhi 5-10 minutes ke liye”

 

“Aap ke liye sirf 5-10 minutes honge lekin mere liye wo sadiyon barabar the. Us 10 minutes mein maine kitna kuch paa liya aap uska andaaza nahin laga sakte. Apne mehboob ke saath bitaya huya ek ek second mere liye sadiyon barabar tha.”

 

“Lekin main kab se tumhara mehboob ban gaya. Tum kab se mujhe chahti ho.”

 

“Ye to main bhi nahin jaanti ki main tumhe kabse jaanti hoon shayad kayi janmon se lekin agar is janam ki bolun to bachpan se hi aapko chahti hoon main. Mujhe aaj bhi wo din yaad hai jab mera school mein pehla din tha aur sab ladke-ladkiyan mera majak bana rahe the aur kaise aapse dekha nahin gaya aur aapne un sabko daantkar bhaga diya. Saath hi mujh se kabhi koi badsaluki na ho iske liye unhen ek tarah se warning bhi de di thi”

 

“To usme kya hai. Tumhari jagah koi aur bhi hota to bhi main yahi karta”

 

“Aapke liye ye bhale hi mamuli baat thi lekin mere liye bahut badi baat thi. Main usi din se aapse pyaar kar baithi thi. Pehle socha shayad sirf akarshan hoga lekin kab ye sachi mohabbat mein badal gaya mujhe khud hi pata nahin chala”

 

“To ab tum is roop mein matlab kaise badal gayi hmmm…. Mera matlab samajh rahi ho na main kya kehna chahta hoon”

 

“Haan samajh rahi hoon ki aap kya jaanna chahte hain. Yahi jaanna chahte hain na ki ek badsurat ladki jise dekhkar sabko JASSI JAISI KOI NAHIN ki JASSI ki yaad aa jaati thi aur sabne uska naam bhi jassi hi rakh diya tha aaj kaise ek safal model ban gayi. Isme bhi aapka hi haath hai”

 

“Mera haath par main to tumse mila bhi nahin aur na hi maine kabhi tumhare rang-roop ke bare mein kaha”

 

“Kabhi kabhi aankhen wo sab keh deti hai jo zuban chahkar bhi nahin keh sakti. Yaad hai na aapko ki jab aap aur aapka dost Sonali ka pata poochne aaye the to mujhe dekhkar aapne kaise react kiya tha jaise ki main koi achoot hoon. Mujhe us din bahut dukh huya.



Ghar aakar saara din meri aankhen geeli rahi. Reh reh kar gala khushk ho jata. Lagta jaise kisi ne mujhe jeete ji maar diya ho. Mere do tukde kar diye hon.”

 

“Jis insaan se main pyaar karti hoon, jiske liye main kuch bhi kar sakti hoon wohi mujhe ek najar dekh bhi nahin sakta. Laanat hai aisi jindagi par. Maine to apne aapko khatam karne ka bhi man bana liya tha kyunki aapke bina jeena bhi kya jeena mere liye."

 

“Aur shayad kar bhi deti lekin usi waqt meri behan ne mujhe sambhala aur meri jindagi badal di. Usne mujhe haalaton se ladna sikhaya, is kaabil banaya ki main apne pairon par khadi ho sakun. Halanki in sab ke liye usne bhi kayi takleefe jheli lekin usne uff tak nahin ki. Meri guru, meri margdarshak, meri dost, meri hamraaj sab meri choti behan hi hai. Aaj main job hi kuch hoon sab isi ki badaulat hai.”


 

Jawed ki aankhen aansuon se geeli aur sharm se jhukti chali gayi. Wo apne kiye par pachta raha tha. Aaj use ehsaas ho raha tha ki bhagwan ne sabko bhale hi rang-roop kaise bhi diye hon lekin uski asli pehchaan uske behaviour se aur uske vicharon se hoti hai.

 

Saloni shayad is baat ko samajh gayi thi. Ye sab batate huye uski bhi aankhon se aansu beh rahe the. Usne Jawed se kaha “Kya ab bhi aap mujhe nahin apnayenge”

 

“Main is kaabil nahin hoon Saloni. Main tumhare pyaar ke layak nahin hoon. Tum mujhse itna pyaar karti ho aur main tumhi se ab tak door bhag raha tha. Mujhe maaf kar do”

 


Jawed ne apne dono haath jodne chahe lekin Saloni ne unhen beech mein hi pakad liya aur Jawed ke gale se lipat gayi. Jawed neb hi use kaskar apne seene mein chupa liya. Dono ek doosre ke seene se lagkar kaafi der tak rote rahe.

 


Aur shayad wo sadiyan bhi bita dete yun hi ek doosre ki baahon mein agar unka dhyaan taaliyon ki awaaz ki taraf nahin jaata jo sab dost baja rahe the. Dono sharam se paani paani ho gaye jisme Jawed kaafi sharma raha tha aur ho bhi kyun na jo Jawed aaj tak kisi ladki ko aankh uthakar bhi nahin dekhta tha aaj kisi ladki ke gale laga huya tha.


 

Aur iske baad sab doston ne Jawed aur Saloni ko unki nayi jindagi ke liye badhai di aur fir to party mein aisi dhoom machi ki kehna hi kya. Us 10 saal purane cassette player se bhi wo sangeetmay dhune nikal rahi thi ki bas sirf aur sirf unki taal par nachne ka dil kare.



Aakhir is fiza mein pyaar ka rang jo mil gaya tha.

 


Jawed aur Saloni kaafi der take k doosre ki baahon mein baahon dale nachte rahe. Lekin idhar Ravi ko sab bada ajeeb lag raha tha.




Wo soch raha tha ki aaj Jawed bhi gaya kaam se. Is pyaar ke chakkar mein padne ke baad sab sale bekaar ho jaate hain. Na kisi kaam ke rehte aur na hi inse kuch hota hai.

 


Idhar sab pyaar aur masti ke rang se sarobar the wahin Ravi Monika se badla lene ki planning kar raha tha. Ab ye planning kya gul khilayegi kise pata? 



To be continued....




   18
12 Comments

Saba

13-Jan-2022 08:53 PM

💖

Reply

Kareem

13-Jan-2022 08:24 PM

Great

Reply

Ayra S

23-Dec-2021 04:04 PM

🤞💙

Reply