Ravi Goyal

Add To collaction

Ek Din Achanak Final Part

Aur is tarah vidai poori huyi aur dulhan ko Ravi ke ghar laya gaya jahan uska aarti se swagat kiya gaya. Aur Ravi ki mummy ne apni bahu MONIKA ka khule dil se swagat kiya. Iske baad to poore din koi na koi aata raha aur muh dikhai deta raha. Shaam ko jab sab free huye aur raat ko jab Monika Ravi ke kamre mein aayi to usne sabse pehle ek hi sawal poocha ki aaj Diya wo Diya nahin thi jo ek saal pehle thi. Pehle hansti bolti Diya aaj ek gambheer vyakti ki tarah hi react kar rahi thi. Wo Diya kahan gayi.

 

To Ravi ne use bataya ki us din jab tum chali gayi thi to main Diya ke paas gaya tha. Pehle to usne baat ko ghumana shuru kiya lekin jab maine use apni kasam di to usne saari baat mujhe bata di. Main bahut hairan tha uski baatein sunkar. Mujhe to vishwaas hi nahin ho raha tha ki Diya aisa kar sakti hai. Jis dost par maine sabse jyada vishwaas kiya usi ne meri peeth mein chura ghonpna chaha. Usi ne mere saath vishwaasgaath karna chaha.

 

Diya ne mere saamne apne pyaar ki duhai di to maine use bataya “Pyaar lene ka nahin dene ka naam hai. Pyaar to ek tyaag ki pratimurti hai. Iske badle agar aapke man mein lesh matra bhi kuch paane ka khyaal aaya to ye pyaar nahin swarth hai. Aur tum itni swarthy ban gayi ho ki tumhein sirf apna bhala dikh raha hai aur doosron ki takleef se tumhein koi lena dena nahin hai.”

 

“Tum jaanti ho ki main aur Monika ek doosre se behad pyaar karte hain aur ek doosre ke bina nahin ji sakte lekin tum to apne swarth mein itni andhi ho gayi ki ek saath teen teen jindagi tabah karne chal di. Ek meri, ek Monika ki aur teesri khud ki. Maan lo agar main tumse shaadi kar bhi lun to wo pyaar, wo apnapan tumhein main nahin de paunga jis par sirf ek patni ka hak hota hai. Tumhara jeewan nark se bhi badtar ho jayega.

 

“Kya tum chahti ho ki ek saath teen mautein ho jaye, meri khushiyan, Monika ka pyaar aur meri aur tumhari dosti jo atoot hai aur main nahin chahta ki ismein kisi bhi wajah se koi darar aaye. Lekin tum to ye samajhna hi nahin chahti”

 

Diya ne rote huye kaha “Main bhi tumse sachha pyaar karti hoon aur iske liye kuch bhi kar sakti hoon. Bas tumhari khushi hi meri khushi hai. Jismein tum khus wohi mere liye badi baat hai”

 

Ravi ne kaha, “To meri khushi isi mein hai ki mujhe Monika ka pyaar mile aur kya tum chahti ho ki mujhe kabhi khushi nahin mile. Meri khushi isi mein hai ki mujhe saari jindagi tumhari dosti aur Monika ka pyaar mile.”

 

“Jao Ravi aaj Diya ne apne pyaar, apni khushiyon ko tumhari dosti ke naam par kurbaan kar diya. Tum khush ho yahi mere liye sabse badi baat hai. Maine sirf tumse pyaar kiya hai aur shayad hi is dil par ab kisi ka naam aayega”

 

Ravi ne khush hote huye Diya ko lage se laga liya aur khushi ke mare wahan se nikal gaya aur peeche chod gaya to sirf akeli khadi Diya ko rote huye.

 

Ravi ne jab batana khatam kiya to Monika ne bataya haan uske agle din Diya mere paas aayi thi aur mujhse maafi bhi maang rahi thi.



Keh rahi thi ki mujhe maaf kar do. Us samay meri kuch samajh mein nahin aaya tha lekin aaj sab samajh mein aa gaya hai.

 

“Diya ne humein khushiyan shaadi ke tohfe mein di hain. Waise tumhare bhaiya ne bhi koi kasar nahin chodi thi shaadi na hone dene ke liye. Lekin sachha pyaar kisi ke aage nahin jhukta, duniya uske aage jhukti chali jaati hai”

 

“Accha janab, agar Alok bhai ko main apni kasam nahin deti to shayad aaj tum kisi hospital mein pade hote. Bhaiya mujhse bahut pyaar karte the aur meri khushi hi unki jindagi thi. Pehle to wo bahut naraaz huye the lekin jab unhen ehsaas huya ki main tumhare bina nahin ji sakti to unhone sif meri khushi ki khatir tumhein apna jija banaya”

 

“Accha sab kuch tumne hi kiya hai, abhi tumhein batata hoon”

 

Aur iske baad kamre ka darwaja band ho jaata hai. Is ek raat ke baad kal ka sawera charon taraf sirf khushiyan hi khushiyan bikherene wala tha.

 

Yahi tha Ek Din Achanak jahan Ravi ne pehle pyaar ko majak samjha, pyaar mila to use thukra diya, jab samjha to pyaar aur dosti ke dorahe par khud ko khada paya aur ant mein pyaar ko bhi pa hi liya.




THE END....

   20
14 Comments

Kareem

13-Jan-2022 08:20 PM

Great

Reply

Ayra S

23-Dec-2021 03:55 PM

💙🤞

Reply

Seema Priyadarshini sahay

21-Nov-2021 11:33 PM

Wow..great

Reply