“Main karunga Sonali se shaadi” Ye awaaz sunte hi sab chaunk uthe aur peeche ghoom kar dekhne lage.
Peeche Raj khada tha apne baap ke saath. Sonali lagbhag cheekh uthi ki wo Raj ke saath kabhi shaadi nahin karegi lekin uske maa ne ek jordaar thappad uske gaal par maara aur kaha “To kya saare mohalle mein hamari badnaami karayegi.
Pehle pata nahin kis Jay naam ke ladke se ishq farma rahi thi. Na jaat ka pata, naa aukat ka pata uski bas humein badnaam karne par tuli thi. Badi mushkil se ek achha rishta haath aaya tha to yahan bhi usne us muye Jay ko bulakar satyanash karwa diya.”
“Maine use nahin bulaya tha. Wo khud aaya tha. Mera ab usse koi nata nahin hai.”
“Are waah khud aaya tha. Tere kamre mein baitha huya tha, tujhse baatein kar raha tha. Hamare darwaza khatkhatane par itni der mein darwaza khola taaki wo asaani se bhag jaaye aur kehti hai wo khud aaya tha. Bas bahut ho gayi teri manmaani. Aaj se wohi hoga jo hum chahenge. Teri shaadi wohi hogi jahan hum tay karenge.”
Sonali roti rahi, bilakhti rahi lekin kisi ko bhi uspar taras nahin aaya. Sonali ne papa Sinha sahib ke ko ek taraf le gaye aur sharam ke mare chup rahe. Sinha ne hi kaha ki aap tension mat lo. Maine sab sun liya hai. Mera ek hi to beta hai. Uski khushi hi to meri khushi hai. Agar aapki ladki mein uske ardhangni banne ka yog hai to hum logon ko is nek kaam mein der nahin karni chahiye.
Iske baad Sonali ke papa ne jhijhakte huye Dahej ke liye poocha to sinha ne saaf mana kar diya. Sonali ke papa bahut khus ho gaye aur dono ne rishte ki saari baat turant tay kar di aur usi din jabardasti Sonali ke saath Raj ke phere kara diye gaye. Jitna Soanli ke papa kar sakte the utna apni haisiyat se unhone Sinha ko diya aur karte bhi kyun na aakhir Sonali unki eklauti beti jo thi.
Koi bhi baap bhale hi wo kitna bhi gareeb hi kyun na ho apni beti khaskar jab wo eklauti ho to ahi koshish karta hai ki use jyada se jyada samaan dekar sasural bheje taaki wahan uski beti ka maan samman bana rahe. Iske chalte kai baar wo apni haisiyat se bhi jyada kharch kar deta hai aur loan ke jhanjhaton mein pad jaata hai. Aisa hi kuch haal Sonali ke papa ke saath huya tha. Halanki unhen loan nahin lena pada lekin jo gaon mein unke hisse ki jameen thi wo unhen bechni padi aune paune damon mein. Ab property ke naam par unke paas sirf do kamron ka ek chota sa ghar tha.
Ghar aate hi Sonali ke liye musibatein shuru ho gayi thi jiska andaaza shayad Soanli ko pehle se hi ho gaya tha aur usne aap ko iske liye mansik roop se tayyar bhi kar liya tha. Poora din Sonali ko tarah tarah ke taane milte rahe, rishtedaar aur khaskar uski nanadein uska aur uske laaye gaye samaan ka majak bana rahe the. Sonali ko andaaza tha pehle se hi is baat ka to usne kuch bhi kehna theek nahin samjha aur in logon ki nasamjhi par mand mand muskurati rahi.
Lekin ye muskurahat raat hote hi aansuon ke sailab mein badal gayi. Jaisa ki har ladki ka armaan hota hai ki uski jindagi ki pehli raat uske liye khusiyooon ki bahaar lekar aaye. Uska pati use khoob pyaar kare, usse meethi meethi baatein kare, uske liye chaand tare todne ki baat kare, uski tareefon ke pul bandhe, use baahon mein lekar duniya jahan ke khatron se bachaye, use kisi bhi tarah se apne mayke ki yaad na aaye iska poora khyaal rakhe wagairah wagairah. Lekin Sonali ke sab sapne, sab ichhayein, sab aarzoo mitti mein mil gayi.
Raat huyi aur Raj andar aaya. Dhadakte dil ke saath Sonali bistar par baithi huyi thi. Paas mein hi glass mein doodh rakha huya tha. Jaise hi Raj andar aaya to ladkhadakar kisi cheez se takra gaya.
Isse Sonali ko pata chal gaya ki usne sharab pi rakhi hai. Use apne saare sapne dhool mein milte dikhe lekin apne man mein ek aasha usne yahi jagai ki shayad dost logon se jabardasti pila di hogi aura age se wo Raj ko na peene ke liye mana legi. Aakhir use apne aap par bharosa jo tha lekin use apna ye bharosa kuch hi minutes mein choor hota dikh gaya.
Raj andar aaya aur Sonali ko pakad kar kiss karne ki koshish karne laga. Sonali ekdum hairan ho gayi uski is harkat par. Kahan to usne socha tha ki pyaar bhari baatein karenge lekin ye Raj to hawas ka pujari nikla jo aate hi apni sharirik jaruratein poori karne par tula hai bas.
Sonali ne use mana kiya to sharab ke nashe mein Raj ne Sonali ke saath jabardasti ki suhagraat banayi ya yun kahiye ek tarah se balatkar kiya aur iske baad Sonali tabhi se ek jinda laash ban gayi thi. Raat bhar wo roti rahi aur soch rahi thi ki use maut aa jaye lekin use kya pata tha ki maut bhi usse koson door bhagne lagi hai.
Kehne ko to ghar mein naukron ki fauj thi lekin jyadatar kaam use khudko karna padta tha. Saara din kaam karna aur raat mein pati- sewa karna uski dincharya ka pramukh hissa tha. Lekin sab uski ek galti ke kaaran huya to ise apne bhagya ka dosh samajh kar bas jeeye jaa rahi thi.
Na kisi se baatein karna, na kahin aana-jaana, bas naukron wala saara kaam karna aur pati ki kaam-pipasa ko shaant karna hi uska jeewan aadhar ban gaya tha. Lekin Raj ne use kabhi bachha nahin hone diya shayad wo nahin chahta tha ki usko kisi bhi tarah ka aaram mile aur aurat ke sabse mahatvapoorna anand, khushi jo use maa banne par milti hai usse mehroom rakha tha usne.
Jay se aage nahin suna gaya aur usne apni aansuon se bheegi palkein upar uthake Sonali ki taraf dekha. Dono hi ek doosre ko pyaar se dekh rahe the. Aaj kitne samay baad Jay ko Sonali ki aankhon mein wohi pyaar dikhayi de raha tha jo us samay dikhta tha jab dono ne saath jeene marne ki kasmein khayi thi. Lekin aaj ismein un dinon ki tarah utawala pan nahin tha balki ek genrai thi, ek thehraav tha, ek vishwaas tha.
Dono hi apne aansuon poochte aur phir palkein bheeg jaati. Sonali pachta rahi thi ki usne Jay jaisa pyaar karne wala shaks thukra kar apne jeewan ki sabse badi galti ki thi aur jiski saja wo bhugat rahi hai aur aage bhi bhugatte rahegi.
Tabhi darwaje ko khatkhata gaya to dono ne apne aap ko sambhala, aansu pooche aur darwaza to waise khula hi tha lekin dost logon ne khatkhataya tha. Sonali ne darwaza khola to saamne Sanju khada tha.
Usne Jay se kaha ki “Yaar bahut time ho gaya hai. Humein chalna chahiye. Kaafi time ho gaya hai aur kal ke match ki practice bhi to karni hai hamein. Jay ne bhi apni sehmati jatayi aur Sonali ki taraf pyaar se dekhte huye, bheegi palkein liye bahar nikal gaya.
Jay ke nikalte hi Sanju bhi wapas jaane ke liye ki tabhi Sonali ki najar Sanju ke haath mein bandhe bracelet par padi aur anayas hi uske muh se nikal gaya ki aisa same bracelet to maine kahin dekha hai. Sanju ke kadam jaate jaate thehar gaye.
To be continued....
Saba
13-Jan-2022 08:46 PM
💖
Reply
Kareem
13-Jan-2022 08:29 PM
Wow
Reply
Ayra S
23-Dec-2021 04:09 PM
Nice
Reply